Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() kahein chand raho me khogaya kahein chandni bhatak gai
mei charagh the wo bhi bujha huwa meri raat kaisey chamak gai kabhi ujla ujla sa naam hoo kabhi khoya khoya kalaam hoo mujhey subha kirno sei bher gai phir shaam pholo dhak gai tujhey bhool jaanei ki koshishein kabhi kamyaab na hosaki teri yaad shak e gulab hai jo hawa chali tou lachak gai terei hath sei merei hont wohi intizar ki pyaas hai mere naam ki jo sharab thi wo rastey me chalak gai kabhi miley tou kia miley wohi dooryan wohi fasley na kabhi hamarei qadam barhey na kabhi tumhari jhijhak gai meri dastan ka urooj tha teri narm palko ki chaaon mei merei sath tha tujhey jaagna teri ankh kaisey jhapak gai
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے ![]() And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() seena dehek raha hai tou kia chup rahey koi
kio cheek cheek kar na gala cheel lei koi saboo huwa sukoon e dil o jaan kahein nahi rishto me dhoondta hai tou dhoonda karei koi tark e talluqaat koi msla nahi yah wo rasta hai kei bus chal parei koi deewar janta tha me jisko wo bus dhool thi ab mujh ko aitmaad ki dawat na dei koi mei kudh chahta hoo ke halaat hon kharab merei khilaaf zeher ugalta phirei koi aye shaks mujhey ab tou sab hi kuch qubool hai yah bhi qubool hai ke tujhey mujh ab cheen le koi ek shaks karha hai kahein apni wafa ka tazkira aye kash is zaban daraaz ka moun noch lei koi
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے ![]() And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
|
(#3)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() mujhey khabar di tere sheher sei anei wali hawaon ne
ke banaliye naye dairey teri dharkano ki sadaon ne gham e deher ne merei ishq ke baal o par noch ke rakhdiye mei uraan loo bhi tou kaisey loo, teri arzoo ki fizaoon mei na gai kabhi meri bebasi yah ajeeb hadsa mujh sei hai wohi faslei tere sheher ke, wohi beryaan merei paon mei teri furqato ki udas rut mujhey lamha lamha liye phiri kabhi merei dard ki dhoop me kabhi teri yaad ki chaon me tu hamehsa mujh me basi rahi me dua khuda sei karoo magr wo tou milgaya kisi aur ko jo asar tha meri duaon mei wo hai zindagi sei bhi kuch haseen, mei bagher jis ke na rahsakoo jo yaha nahi toui aye Qateel, usey jaa milooga khalaoon me...
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے ![]() And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
|
(#4)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() dukhon ki shiddatein ghamo ki gehraai mujhey deido
maseeha tum sahi, izn e masihaai mujhey deido tum apni zaat me kudh anjuman ho, tum ko kia gham hai? me tanha hoo, yah zoq e bazm e araai mujhey deido tum apne dil ke darwaazei mufqal shauq sei karlo bus apni zaat sei izn e shanasaai mujhey deido tumharei baad har manzar mujhey berang lagta hai yah ankhein cheen lo ya apni beenai mujhey deido me sanso me samoloon ga tumhari her amanat ko yah wahshat naak sannatey, yah tanhaai mujh ko deido meri shohrat tumharei kaam ajaaye tou hazir hai tumhey dunya ne jo bakhshi wo ruswaai mujhey deido mei shaayir hoo, merei bekaif be taseer lafzo ko amar kardo, tum apne gham ki ranaai mujhey deido....
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے ![]() And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
|
(#5)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() tum hanso tou din nikley chup raho tou ratein hain
kis ka gham kaha ka gham sab fuzool ki batein hain aye khuloos me tujhey kis tarha bahaoonga dushmano ki chaalein hain, dosto ki ghatein hain tum pei hi nahi mauqoof aaj kal tou dunya mei zeest ke bhi mazhab hain, maut ki bhi zaatein hain
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے ![]() And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
|
(#6)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Khuwab her shaks ke hotey hain na jaanei kitnei
din tanhai me guzrei hain na jaane kitney mei nei izhar kia tha apni muhabbat ka sirf tum ne younhi banaye hain fasaney kitnei chain rato ka aur din ka sukoon lei gaye dost ab haath ko atey hain milaney kitney yeh tou khail muqaddar ka warna youn na hota aaj tak dekhey shama ke hain parwanei kintei...
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے ![]() And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
|
(#7)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#8)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#9)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Ab aye meray ehsaas-e-junoon--kia mujhey daina?--
Darya usay bakhsha hai toh sehra mujhey daina-- Tum apna makaan jab karo taqseem toh yaaron-! Girti hui deewar ka saaya mujhey daina-- Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo Us shaakh say toota hua lamha mujhey daina Tum mera badan odh kay phirtay raho-LEKIN Mumkin ho toh ek din mera chehra mujhey daina Choo jayee hawa jis say toh khushboo teri ayee Jaatey huay ek zakhm toh aisa mujhey daina Ek dard ka mela hai--laga hai dil-o-jaan mein Ek rooh ki awaaz keh rasta mujhey daina Ek taaza ghazal azn-e-sukhan maang rahi hai Tum apna mehekta hua lehja mujhey daina Wo mujh say kahin badh kay musibat mein tha Mohsin Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey daina
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے ![]() And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
|
(#10)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() ye jo be-rukhi hai baja nahi, Ye adaayen kyun ye ghuroor kya!
Ye guraiz kis liye is qaddar, Ye khafa khafa se huzoor kya! Tujhe yaad krna mazaq tha,Tujhe bhool jana azaab hai Ye saza hai jurm-e-firaaq ki,Mere haafizey ka qusoor kya! Tere sath hai jo teri anaa, Mere sath mera naseeb hai, Mujhe tujh se kesi shikayeten, Tujhe khud pe itna ghuroor kya! Koi khawab tha k saraab tha, Jo guzar gaya so guzar gaya, Ye baseeraton ka qusoor kyun,Ye basaaraton ka fatoor kya! Ye tmhara chehra kitaab hai,Isey parh raha hun wraq wraq, Zara bat saada likha kro, Ye muhawron ki satoor kya! Dil-e-khud pasand sadaa na de,Keh ye ik sadaaon ka dasht hai, Kahin kho gaye hain jo bheer main,Humain dhoondna hai zaroor kya!.
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے ![]() And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
bahana, ghazal, karoo |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
ghazal begum akhtar aey mohabat tere anjam- full ghazal | FAJAAN | Video Poetry | 10 | 08-28-2011 10:30 PM |
MaiN Kya KaroO | life2 | Miscellaneous/Mix Poetry | 5 | 07-27-2010 02:36 AM |
usey bhoolne ki dua karoo.... | Shaam | Miscellaneous/Mix Poetry | 6 | 05-29-2010 05:58 AM |
~**~mat karoo ~**~ | Dashing Ahsan | Miscellaneous/Mix Poetry | 2 | 09-03-2009 09:06 PM |
udas mat hua karoo ....! | ShArArTi MuNdA | Miscellaneous/Mix Poetry | 17 | 08-01-2009 07:23 PM |