Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
Kuch bhool geya tha aaj main par
Kal Main tera kiya har wada jala dalon ga…
Jo kuch poochin ge log dhowan dekh kar un ko teri Tasweer ki raakh dikha doun ga
Koi teri kahi baat gar fir yaad aai tu apni Aankhon se kuch aanso our beha doun ga
Par kal main tera kiya har wada jala doun ga
Jo fir bi na Neend aai muje raaton ka Tu main apna har Khwab mita doun ga
Par kal main tera kiya har wada jala doun ga
Jo Fir bhi goonji teri awaaz mere dil ke sanaton main Tu teri har yaad un hi Andheron me dafna doun ga
Par kal main tera kiya har wada jala doun ga
Jo fir bi gar tu mil jaye kahin mujh main Tu kal main apna Wajood bi mita doun ga
kal main tera kiya har wada jala doun ga
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
Last edited by ~ Bikhre Lamhe ~; 05-13-2009 at 03:43 AM..
|