MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
View Single Post
(#1)
Old
MAsooM LArKa MAsooM LArKa is offline
~ AwaRa ~
 


Posts: 14,419
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2009
Location: In Hearts
Gender: Male
Default Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai.. - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   08-27-2009, 12:16 PM

Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..



Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay tu khair taira intazaaar karna hai



Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeah jashan sar rah'guzaar karna hai



woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha eh ussay sharamsaar karna hai



Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi
Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai



tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai



Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain
Kissi tarhaan tu humain rooz'gaar karna hai



Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai



Khda khabar yeah koi zid keh shouq hai mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai

 





Relationships
don't need promises, terms and conditions. It just needs two people....One who can trust.....and.....one who can understand... ♥
Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links