agr kabhi meri yaad aaye
chand raato ki dilgeer roshni mei
kisi sitarei ko dekh leina
aur wo nakhl e falak sei ur kar tumhaei qadmo mei aagirey
tou jaan leina
wo istiaara tha merei dil ka
aur na aaye?
mgr yah kaisey mumkin hai kei kisi pei nigah dalo
aur us ki deewar e jaan na tootey
wo apni hasti na bhool jaye
agr kabhi meri yaad aaye
gurez karti hawa ki lehro pei hath rakhna
mei khusbooo mei tum ko milooga
mujhey gulaab ki pattioo mei talash karna
mei aus qatrey kei ainei mei tumhey milooga
agr sitaro mei auq qatro mei na pao mujhey
tou apnei qadmo mei dekh leina
mei gard hoti musafato mei tum ko milooga
kahein yah roshan chiragh dekho tou jaan leina
kei her patingey kei sath mei bhi sulag chuka hoo
tum apnei hatho sei us parindey ki khaak uradeina
mei khaak bankar darya mei safar karooga
kisi na kisi jazeerey pei ruk kei tumhey sadain doonga
samndero kei safar pei niklo tou
is jazeerey pei kabhi utarna.............
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے
And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)