|
|
Posts: 52,341
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2009
Location: RAWALPINDI
Gender:
|
|
Tumhari bheegti palkon se maine barha poocha
K dil k khel mai kia jeetne walay bhi rote hain
Wo jin ki chashm-e-khudbeen or ko dekha nahi karti
bhala kis dil se gham k taar mai moti pirote hain
Tumhari bheegti palkon se maine barha poocha
K kia manind-e-sheesha patharon mai baal bhi ata hai
Asar angez hai ab tak muhabbat ka wohi jazba
Jo aise Hoshmando ko bhi yun pagal banata hai
Tumhari bheegti palkon se maine barha poocha
Mizaj-e-husn mai yun yak baik kia inqilab aya
Sitare dekhna or dekh kar Afsurda hojana
Bari dair se tumko Sitaro ka hisab aya
Tumhari bheegti palkon se maine barha poocha
K tark-e-rabt par kia mujh se wahshi yad ate hain
Taaluq torna asan tha tu phir Ankhh kyu nam hai
ANA parwar,jifa pesha bhi yun Ansoon bahate hain
Tumhari bhegti palkon se maine barha poocha
K jalne or jalane mai bhala kia lutf ata hai
Bas aik jhoti ANA k waste barbad hojana
KHUDI k zaym mai Insan kitne Dukh uthata hai...........
Tumhari bhegti palkon se maine barha poocha .............
Kabhi zindagi me kisik liay mut rona**
q k vo''tumhare ansoun k kabil nahi ho ga''
or ''vo'' jo is ''kabil'' ho ga vo tumhe ''rone'' nahi de ga''*****
|