kis mataa-e-shauq kii ham justujuu karte rahe
zindagii bhar zindagii kii justujuu karte rahe
jab hariifon kii zubaan thii shola-guftaari meg gark
ham taGazzul kii zubaan mein guftguu karte rahe
aur honge jinko chaak-daamaanii pe naaz
ham junuun men chaak-e-daamaan ko rafuu karte rahe
asal mein ham they tumhaare saath mahv-e-guftgu
jab khud apne aap se ham guftgu karte rahe
unko ab nafa-o-zarar kii baat kyaa samjhain ham
voh jo sauda-e-mataa-e-aabruu karte rahe
koii ye Azad se puuchhe ki apne dil se duur
tum kahaan jaa kar talaash-e-ran-o-buu karte rahe
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے
And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)