Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#51)
![]() |
|
|||
Is waqt to yun lagta hai, ke ab khuch bhi nahi hai.
Mehtab na suraj na andhera na sawera. Aankhon ke darichon mein kisi husn ke chilman. Aur dil ki panahon mein kisi dard ke dera. Shakhon mein khayalon ke ghane paer ki shayad. Ab aa ke kare ga na koi khuwab basera. Mana ke yeh sunsaan ghari sakht kari hai. Lekin mere dil yeh to faqat ik hi ghari hai. Himmat karo jine ko to ik umr pari hai.
|
Sponsored Links |
|
(#52)
![]() |
|
|||
Phir chala hoon main bhatakne har gali tere liye !
Aaj bhi betab hai yeh zindagee tere liye !! Gar hua pahra andheron ka tere rukhsaron per ! Bhasm kar khud ko karoonga roshni tere liye !! Bin tere zindagee mujhse basar hoty nahee ! Dil mera bechain hai ab har gharee tere liye !! Dard ki dahleez per baitha hoon dera daalkar ! Aaj de doonga main apni jaan bhi tere liye !! Jiski tujhko arzoo bhi mudaton se humnawan ! Le ke phir main aa gaya hoon woh khushi tere liye !! Jo bhi samjhe yeh jahan tujhse kuch itna pyaar hai ! Main karoonga zindagee bher shairee tere liye !! Tootti hi ja rahee 'Rahman' sanson ki ladee ! Maine likh dalee ghazal yeh aakhiri tere liye !!
|
(#53)
![]() |
|
|||
Main hosh mein tha to phir us peh mer gaya kaisey?
Yeh zeher mere lahoo mein utar gaya kaisey? Kuchh uskey dil mein lagavat zaroor thi varna Woh mera haath daba ker guzar gaya kaisey? Zaroor uski tavajjoh ki rahbari hogi. Nashey mein tha to main apney hi ghar gaya kaisey? Jisey bhulaye kaee saal ho gaye Akash. Main aaj uski gali sey guzar gaya kaisey?
|
(#54)
![]() |
|
|||
Kitab-e-dil pe likhay thay kitnay hee afsaanay
Kuch qissay naye thay aur kuch berson puranay Kuch un ka zikr jo kabhi rug-e-jaan se thay qareeb Kuch wo jo aaj bhi lagtay hain begaanay Kaash aisi koi rut koi mosam aaye Khushiyon bhare geet hum lagein gungunanay Aaj bhi dil mera is aas pe zinda hai Aik roz tow aayein gay wo hum ko mananay Safha-e-dil ko koi hamare perh ker dekhay Khoon-e-jiger se likhay hain sab afsaanay Guzra hua zamana bhula doo zehen se apnay Aatay nahi hain kionkeh beetay huay zamanay
|
(#55)
![]() |
|
|||
bharam terii vafaaoN kaa miTaa dete to kyaa hotaa
tere chehare se ham pardaa uThaa dete to kyaa hotaa muhabbat bhii tijaarat ho gayii hai is zamaane meN agar ye raaz duniyaa ko bataa dete to kyaa hotaa terii ummiid par jiine se haasil kuch nahiiN lekin agar yuuNhii na dil ko aasaraa dete to kyaa hotaa
|
(#56)
![]() |
|
|||
|
(#57)
![]() |
|
|||
|
(#58)
![]() |
|
|||
|
(#59)
![]() |
|
|||
|
(#60)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
collection, poetry, shayeri sach bolti hai |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
""Babiez Drunk"" (funny) | SHAYAN | Babies World | 40 | 08-26-2011 04:11 AM |
""Apni Ankhon K Ashk"" | SHAYAN | Miscellaneous/Mix Poetry | 20 | 07-20-2011 03:24 AM |
*CongratzZ "H.Z" 4 "7000" PoSts* | ~*Gillanii | Birthday & Other Wishes | 41 | 07-20-2011 02:01 AM |
**i love u in ""different languages""** | **heer4u** | Fun | 9 | 03-02-2009 02:13 AM |