 |
|
|
Posts: 335
Country:
Star Sign:
Join Date: Apr 2009
Location: mumbai
Gender:
|
|
aye mere humnasheen chal kahi aur chal
is chaman mein ab apna guzara nahi
baat hoti gulo tak toh sah lete hum
ab toh kato pe bhi haq hamara nahi
aye mere humnasheen chal kahi aur chal
dil ko bahlaye kaise shabehijr mein
dil behalne ka koi sahara nahi
chand bhi chup gaya raat bhi dhal gayi
asman mein bhi koi sitara nahi
aye mere humnasheen chal kahi aur chal
jane kis ki lagan kiski dhun mein magan
ja rahe the kaha mud ke dekha nahi
humne awaz parthi woh awaz di
tum mein kehte oh humne pukarah nahi
aye mere humnasheen chal kahi aur chal
mera zauke nazar azma lijiye
ghar ho bijli girane gira lijiye
main bhi ghar se chala hun yehi soch kar
aj nazare mili yah nazara nahi
aye mere humnasheen chal kahi aur chal
jab gulistan ko khun ki jarurat padi
sabse pehle humari hi gardan kati
phir bhi kehete hai humse yeh ahele chaman
yeh chaman he hamara tumhara nahi
aye mere humnasheen chal kahi aur chal
is chaman mein ab apna guzara nahi
baat hoti gulo tak toh sah lete hum
ab toh kato pe bhi haq hamara nahi
Kya ye alfaz un ulfat patan woh, jakke shamma ke nazdik dekho...
|