Islamic Images And Miracle Pics !!!!Share Islamic Images And Miracle Pics!!!! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
![]() maghrib hochuki thi aaj ghaliban 7 bajrahey hongei sakhi hasan qabrustan ke samnei ek aziz rehtey hain unke darwazey pe intizar karha tha intizar taweel huwa tou chehel qadmi shuru kardi chaltey chaltey samne nigah uthaai aur ruk sa gaya ajeeb sa manzar tha ghaney darakh jaisey koui puraani si darawnui film ka scene andhera ta had e nigaah aur unsab ke beech hazaaro ke tadaad me bazahir behiss o harkat INSAAN eesaal e sawaab kia aur sochney laga yeh yaha leitey hain gher me kia horaha hai sab kei k8isi ke gher dawat hogi sab hans rahey hongei kheil rahey honge tv ya film chalrahi hogi jkahein shadi hogi tou kapro ke rang aur tayaari ka shore wo amma abba behen bhai jin ke bagher hamara koi kaam nahi hota tha wo sab jo double bed per akele sotey they aaj hmmm parwa hi nahi unko jo ek pal ko bhi alag nahi rahsakne ka dawa kartey they ke aaj kis haal me hain poochney bhi aye dekhney bhi aaye acha nahi aaye koi baat nahi per kabhi ek baar Qul hi parh ke bakshish ki dua ki din me ya phir barsi walei din biryaani paka ke poora karlia qarz aur farz hmmmm yah logkis ke saharay hain wo sab jin ko muhabbat ka dawa hai wo tou gum hai apne bachon me nai khusyon me jaha na hamari jagha hai na zaroorat hgamarei bagher bhi wo saaari khyusyaan celebrate hongi tou phir ? Allah ka sahara yaqeenan Allah ke saharay aur wo kuch manney ke saharay jo us ne hukum kia tha kisi ki qabar noor hi noor hai ke us ko para nahi ke koi yaad bhi rakhey aurkahein zameen ne haddion ko bhi nahi chora hmmmm Maut ko yad kijye roz kai kai baar hadees bhi hai ke kei rozana maut ko kai baar yad kia karo- maut ko yaad rakhney sei dil narm rahta hai apne lia aur dosro ke lia aur us ki tayari karein jab na behen bhai na maa baap na aurlaad na koi aur aaye ga sab apni zindagi jiyen gei aur hum aur aap isi tarha andherey me choti si QABAR me leteyu honge.
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
|
(#3)
![]() |
|
|||
isi uljhan me 2 3 din guzrey ke hoga kia phir kisi khayal me aake raat 2 bajey lights off karkei dozaano bethgaya aur sochney laga sochtey sochtey ankhein band karli aur tasawur me laya kudh ke ke me safaid libaas me hoo dost ahbaab bachey rishtey daar aas pass jama hain aur mujhey qabar me utar rahey hain me dekh raha hoo bolna chahta hoo per awaz nahi nikalrahi cheekta hoo per shayed sab behrey hogaye hain apne betey ko bhai ko dekhta hoo kehta hoo beta zameen per lita dia hai kankar tou hatdo chubhtey hain per wo suntey hi nahi yah kia mera dam ghut jaye ga saleb rakh rahey hain is jagha aur phir matti matti chan chan ke merei upper gir rahi hai me hatana chata hoo per aaj me itna be ikhtiaar kio hoo aur phir andhera chajata hai khauff sei me cheek raha hoo per na koi sun raha hai na koi dekh raha hai ya Allahyah log itne bewafa they ? mujhey itni choti si jagha lita kar chalei gaye kia kia na kia tha mei nei inke lia zara khayal nahi kia me jo apni aulaad ki zara si takleef pe sari raat jagta rahta tha wo aisey andherey me chor kar kitnei araam sei chala gaya hmmmmm abhi chand min guzrey they inhi khayalo mei tha ke achanak do loge aatey dikhaai diye mei hairaan yaha kaun agaya achanak diamgh me bijli koondi Munkir o Nakir aur merei zehen me wo sari batein ghoomney lagi ke jo riwayaton me suni thi me khushhuwa chalo jo sawal yah karein ge us ka jawab ata hai wo aaye aur mujhey utha kar bitha dia aur pooocha "Mun Rabbuka" (tumhara Rab kaun) merei dil me aya Allah aur mei nei kehna chaha per meri zaban ch merei moun sei Allah kio nahi nikalraha meri zaban nahi bolrahi Allah yah sab kia hai Mun Rabbuka " Dobara poocha gaya . lehja sakht tha ankhon sei angaarey aur meri nazar hath per pari us per ek khatarnaak hathyaar tha me dargaya mei nei cheekna chaha ke Allah hai mera Rab me musalmaan hoo per mujhey achanak sharmindgi hooi ke waqai me musalman hoo ? Rab ka matlab wo jis ne paida kia parwarish ki aur jo her her jagha mera Bara ho per hmmm ppooori zindagi ke ek film ki tarha ghoom gai mei nei tou her her jagha us ki nahi suni jo us ne kaha us ka ulta kia phir mei nei maana hi kab ke wo Rab tha sirf janta tha per ahamyat kab thi phir jo huwa so huwa per meri qabar mujh per tang kardi gai aur ek taraf sei garmi aur yeh kia merei chahrey pei yah kia chalraha hai yah kaun sa keera hai hatao is ko mei kabhi kudh per makhi bethney nahi deita tha khandaan bher me nafees tareen insanmashoor tha aur aaj yah kaun kaun sei keerey hain jo merei chahrey pei chalrahey hain me hata nahi sakta mera haseen chehra thora thora karkei kha rahey hain aur me dekh raha hoo mujhey apney jism sei boo mehsoos honey lagi mei itna ghaleez tha .. kudh sei sawal kia hmmm khair yah tou hoga hi mei nei is ki taraf sei dhiyaan hatyaa kio ke yaqeen tha ke ab mujh me koi attraction baqi nahi ghaleez tareen badboo daar jism jagha jagha sei hadiyan bahar keerey merei jism ko kharaey hain aur takleef jo bayan nahi hosakti lafzo me mei nei dua ki Allah merei gher walei bohat pareshaan honge mujhey dikha tou dei wo kaisey hain achanak meri ankhon ke samnei merei gher ka manzar ajata hai meri biwi ek hath me tasbeeh leikei bethi hai me khush hojata hoo ke abhio yah mujh ko parh ke bakhshey gi aur merei upper sei yah azaab kuch kam hojaye ga samney nigah parti hai tou sari khushi kafoor hatho me tashbeeh honto per Allah ka naam aur nazrein TV per na karo me cheekta hoo koi faida nahi aisey parhney ka per me bhi to aisa hi tha beta meri beti merei gher walei sab apni dunya me magan inlogo ko ahsas nahi ke merei lia kuch karlein me kitni takleef me hoo nahi nahi yah kio karein mei nei kia tha kuch apne waldein ke lia ek lamhey ko socha kia mei nei aulaad aisy chori hai jo merei lia sawab e jaria ho meinei tou inko wo tarbiyat di hai ke yah merei lia azaab e jaria banjaain me cheekney laga mujh sei ibrat pakro laut aao ek Allah ki janib wo jis ki taraf laut ke jana hai yah sab tamasha hai dhong hai bakwaashai maan lo us ki per koi nahi sunta "Jagha dil laganey ki dunya nahi hai yah ibrat ki jaag hai tamasha nahi hai" merei kano me tv ki awaz aai me ne nigaah utha kar dekha tou kisi ne channel change kardia....
|
(#4)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
qabar |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Qabar Ki Pukaar | Diwa | Hadees Shareef | 16 | 07-08-2012 05:04 PM |
Sakoon -E-QABAR.... | (¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯) | Miscellaneous/Mix Poetry | 7 | 08-28-2011 06:46 PM |
~*~Azab-E-Qabar~*~ | S@N@ KH@N | Islamic Images And Miracle Pics | 9 | 11-18-2010 04:33 PM |
~~~ meri qabar pr ~~~ | umair8005 | Image Poetry | 15 | 10-06-2010 07:10 PM |
Qabar | AFghani_Laila | Say For Islam | 17 | 07-19-2010 09:07 AM |